chahe tu shauq se mujhe wahshat-e-dil shikar kar 
apno se kaT chuka hun main apni ana ubhaar kar 
jin ko kaha na ja saka jin ko suna nahin gaya 
wo bhi hain kuchh hikayaten un ko bhi tu shumar kar 
KHud ko aziyyaten na de mujh ko aziyyaten na de 
KHud pe bhi iKHtiyar rakh mujh pe bhi e'tibar kar 
us ke yaqin-e-husn ka husn-e-yaqin to dekhiye 
aaina dekhta hai wo apni nazar utar kar 
rahen rafiq-e-rah ke shauq ka imtihan hain 
jis mein safar tawil ho rasta wo iKHtiyar kar 
teri zamin nasib ne tere hunar ko saunp di 
KHwah chaman bana use KHwah tu regzar kar 
'anjum' abhi hain rah mein shab ki kaDi masafaten 
mahr falak par rah gaya din ka safar guzar kar
        Ghazal
Chahe tu shauq se mujhe wahshat-e-dil shikar kar
Anjum Khaleeq

