buton ki kakulon ke dekh kar pech
paDe hain dil pe kya kya pech par pech
tariq-e-ishq be-rahbar na ho tai
ki hai ye rah nihayat pech-dar-pech
na howe dil ki tukkal kaT ke barbaad
agar Dale na wo tar-e-nazar pech
wo zulf us ki jo hai pur-pech o pur-KHam
kamand-e-jaan hai ai dil us ka har pech
'nazir' ek roz apne zaKHm-e-sar ko
jo bandha hum ne de kar beshtar pech
nazar karte hi us sarkash ne ek bar
kaha kar ke suKHan ka muKHtasar pech
dua dije hamari tegh ko aaj
ki jis ne aap ko baKHsha ye sar-pech
Ghazal
Buton ki kakulon ke dekh kar pech
Nazeer Akbarabadi