buton ke waste to din-o-iman bech Dale hain
ye wo mashuq hain jo hum ne kabe se nikale hain
wo diwana hun jis ne koh o sahra chhan Dale hain
unhin talwon se to TuTe hue kanTe nikale hain
tarashi hain wo baaten us sitamgar ne sar-e-mahfil
kaleje se hazaron tir chun chun kar nikale hain
jigar dil ke waraq hain wada-e-didar se raushan
unhen kyun dun kisi ko ye to jannat ke qabaale hain
agar munh se kaha kuchh to bikhar hi jaenge TukDe
baDi mushkil se hum TuTe hue dil ko sambhaale hain
hamin hain mojid-e-bab-e-fasahat hazrat-e-'shair'
zamana sikhta hai hum se hum wo dilli wale hain
Ghazal
Buton ke waste to din-o-iman bech Dale hain
Agha Shayar Qazalbash