buton ke ghar ki taraf kabe ke safar se phire
hazar shukr ki jite KHuda ke ghar se phire
mariz-e-hijr ka koi ilaj kar dekhe
asar dawa se dawa hukm-e-chaara-gar se phire
mahine bhar ka to rasta hai par dua ye hai
ki peshtar wo qamar daura-e-qamar se phire
nigah-e-lutf se dekho shabab aa jae
shab-e-guzishta abhi gardish-e-nazar se phire
wo rashk-e-mahr jo saqi ho umr baqi ho
ziyaada saghar-e-mai charKH-e-fitna-gar se phire
nigah pherne mein lutf kya hai rahne do
ye tir kis liye ulTa mere jigar se phire
kahenge baad-e-fana hum se dostan-e-adam
bhare-pure ki tahi-dast is safar se phire
na mangen bosa-e-ruKHsar chhatiyan na chhuen
tabiat apni jo ai but gul-o-samar se phire
falak ne kucha-e-maqsad ki band ki rahen
bhala batao ki qismat meri kidhar se phire
dikhae mauj-zani bahr-e-ashk agar apna
har aasiya-e-falak-ab chashm-e-tar se phire
'munir' ko hai wo dauran-e-sar maaz-allah
ki sunne walon ka sar zikr-e-dard-e-sar se phire
Ghazal
Buton ke ghar ki taraf kabe ke safar se phire
Muneer Shikohabadi