buto KHuda se Daro sang dil siwa na karo 
ye mom dil hai hamara ise juda na karo 
na ThanDi sansen bharo daur-e-mai mein ham-nafasan 
ye aag bhaDkegi mai-KHane mein hawa na karo 
hum aankhen band karen phir dikhao rangini 
jo chor pakDa hai tum shoKHi-e-hina na karo 
chakor hum ko banaya dikha ke uryani 
ye khel chandni mein aa ke mah-laqa na karo 
ghazal mein sher bahut narm ho gae 'aKHtar' 
ye kis zaban mein kahte ho bad-maza na karo
        Ghazal
Buto KHuda se Daro sang dil siwa na karo
Wajid Ali Shah Akhtar

