buri aur bhali sab guzar jaegi
ye kashti yunhin par utar jaegi
milega na gulchin ko gul ka pata
har ek pankhuDi yun bikhar jaegi
rahenge na mallah ye din sada
koi din mein ganga utar jaegi
idhar ek hum aur zamana udhar
ye bazi to so biswe har jaegi
banawaT ki sheKHi nahin rahti sheKH
ye izzat to jaegi par jaegi
na puri hui hain umiden na hon
yunhin umr sari guzar jaegi
sunenge na 'haali' ki kab tak sada
yahi ek din kaam kar jaegi
Ghazal
Buri aur bhali sab guzar jaegi
Altaf Hussain Hali