اردو हिंदी
Bulbul ko phir chaman mein laga lai bu-e-gul | Shaahi Shayari
bulbul ko phir chaman mein laga lai bu-e-gul

Ghazal

Bulbul ko phir chaman mein laga lai bu-e-gul

Hakeem Syed Mohammad Ghazipuri

;

bulbul ko phir chaman mein laga lai bu-e-gul
ai kash hoti gul-badanon mein bhi KHu-e-gul

dil dagh dagh us mein KHayal-e-KHiram-e-naz
jis tarah uDti phirti ho gulshan mein bu-e-gul

aashiq hi jab nahin to KHizan hai bahaar-e-husn
bulbul ke sath sath gai aabru-e-gul

raaz-e-mohabbat aur dil-e-ghuncha ta-ba-kai
niklegi bu ke parde mein har aarzu-e-gul

lo 'shad' sair-e-gul se bhi nafrat hui unhen
samjhe magar ki bu-e-mohabbat hai bu-e-gul