buland-o-past ka har-dam KHayal rakhna hai
hamesha hath mein kar-e-muhaal rakhna hai
wo mujh se talib-e-baiat hua hai aur mujhe
junun ke hath pe dast-e-sawal rakhna hai
koi to aa ke ginega jarahaten dil ki
hara-bhara hamein taq-e-malal rakhna hai
mere charagh ki lau se musabqat kaisi
mujhe usi pe uruj-o-zawal rakhna hai
kahin to KHatm hua hoga raat ka afsun
wahin pe uqda-e-subh-e-visal rakhna hai
shikast-e-be-hunari ki sanad nahin milti
giraft mein abhi kilk-e-kamal rakhna hai
wo mehrban nahin hai to phir KHafa hoga
koi to rabta us ko bahaal rakhna hai
bajae us ke ki hum be-hison mein gin liye jaen
suKHan ke sath hi husn-e-majal rakhna hai
nazar na aae qalam-rau mein koi harf-e-junun
tamam zer-o-zabar paemal rakhna hai
Ghazal
Buland-o-past ka har-dam KHayal rakhna hai
Abul Hasanat Haqqi