bulawa kaun sa koh-e-nida mein rakkha hai
charagh hum ne jo apna hawa mein rakkha hai
wo chahe baKHsh de zillat ki sarfaraaz kare
bas ek yaqin hai jo hum ne KHuda mein rakkha hai
adam wajud mein bharti hai ek rag-e-maujud
ab aur is ke siwa kya dua mein rakkha hai
na KHud-shanasi agar ho to kya nashat-e-ishq
raqam na ho to kya harf-e-nawa mein rakkha hai
safar na ho to ye lutf-e-safar hai be-mani
badan na ho to bhala kya qaba mein rakkha hai
jo dekho ghaur se kuchh kam nahin hai ye bhi 'tur'
ek iztirar sukun-e-hawa mein rakkha hai
Ghazal
Bulawa kaun sa koh-e-nida mein rakkha hai
Krishna Kumar Toor