bujhte suraj ke sharare nur barsane lage
rafta rafta chand taron mein nazar aane lage
kar gaya bedar patthar ko fan-e-KHara-tarash
kitne nadida sanam aankhon mein lahrane lage
mauj-e-bu-e-gul se bhaDki hain dabi chingariyan
phir hawa ke sard jhonke jism jhulsane lage
kaT ke rah jaegi aaKHir qismat-e-gham ki lakir
tere zindani agar zanjir KHaDkane lage
sar pe suraj tha to naqsh-e-pa bhi raushan the 'samad'
dhup ke Dhalte hi sae panw phailane lage

Ghazal
Bujhte suraj ke sharare nur barsane lage
Samad Ansari