اردو हिंदी
Bujha chuki hai hawa jis ko wo diya bhi main | Shaahi Shayari
bujha chuki hai hawa jis ko wo diya bhi main

Ghazal

Bujha chuki hai hawa jis ko wo diya bhi main

M R Qasmi

;

bujha chuki hai hawa jis ko wo diya bhi main
magar ye dekh bahut der tak jala bhi main

tawil dhup ki shiddat hawaon ki yurish
sahi bhi main ne sar-e-dasht-e-gham khila bhi main

mile qayam ke ahkaam bhi mujhi ko yahan
masafaton ka parastar ek tha bhi main

mere nasib mein patjhaD ke raston ka safar
sada-bahaar dayaron se aashna bhi main

mujhi se aai thi milne udas chandni raat
agar ye jaanta hota to jagta bhi main

meri taraf thin kabhi barishen bhi phulon ki
hisar-e-sang-o-sada mein ghira hua bhi main

ye sochta hun kahun KHud ko 'qasmi'! main kya?
sukut bhi mere andar bahut sada bhi main