bujh kar bhi shoala dam-e-hawa mein asir hai 
qaem abhi faza mein dhuen ki lakir hai 
guzra hun us ke dar se to kuchh mang lun magar 
kashkol be-talab hai sada be-faqir hai 
jo chahe achchhe damon mein us ko KHarid le 
wo aadmi bura nahin par be-zamir hai 
dil par lagi hai sab ke wahi mohr barf ki 
zahir mein garm-joshi-e-dast-e-safir hai 
DhunDe se aadmi nahin milta yahan pe 'zeb' 
yun is dayar-e-bahr mein gauhar kasir hai
        Ghazal
Bujh kar bhi shoala dam-e-hawa mein asir hai
Zeb Ghauri

