bolna baada-kashon se na zara ai waiz
kan pakDunga jo qulqul ko suna ai waiz
duKHtar-e-raz ko jo kahta hai bura ai waiz
us afifa ne tera kya hai kiya ai waiz
jam-e-kausar ki jo KHwahish hai dam-e-baada-kashi
bazm-e-rindan-e-qadah-nosh mein aa ai waiz
joshish-e-shisha-o-saghar-shikni ka hai bayan
munh toDe koi badmast tera ai waiz
jam-e-mai daur mein la charKH-e-kuhan ki surat
dekhta hai jo tujhe rang naya ai waiz
TuT jae na kahin tere kaDe hathon se
dil mera shisha-e-nazuk hai suna ai waiz
loT ho tu jo na maston ki tarah kya mani
munh laga bint-e-inab ko to zara ai waiz
parsai to zara zahid-e-makkar ki dekh
rahn-e-mai KHirqa-salus hua ai waiz
chaDh ke mimbar pe na makkar darogh itna bol
munh mein bu aati hai jhuTe ke suna ai waiz
har-nafas 'shad' yahi qaul hai matwalon ka
hum ne saunpa tujhe shaitan ko ja ai waiz
Ghazal
Bolna baada-kashon se na zara ai waiz
Shad Lakhnavi