bojh sa baDh jata hai dil par sham-Dhale
ruk jati hain sansen pal-bhar sham-Dhale
khil uThta hai us ki yaad ka ek ek rang
jag uThte hain kya kya manzar sham-Dhale
aag mere shiryanon ki lau dene lagi
pighla us ki ana ka patthar sham-Dhale
gahre honge sargoshi ke sae abhi
khul jaega lipTa bistar sham-Dhale
kis ko bataun gum hai meri apni pahchan
mujh se juda hai mera paikar sham-Dhale
ek aandhi sa ghaTta baDhta shor-e-nafas
bhar jata hai zehn ke andar sham-Dhale
dil ke ek goshe mein simaT aate hain 'ramz'
saton aasman saton samundar sham-Dhale
Ghazal
Bojh sa baDh jata hai dil par sham-Dhale
Mohammad Ahmad Ramz