اردو हिंदी
Bisat-e-zat pathrai to jaana | Shaahi Shayari
bisat-e-zat pathrai to jaana

Ghazal

Bisat-e-zat pathrai to jaana

Mohsin Jalganvi

;

bisat-e-zat pathrai to jaana
KHabar aKHbar mein aai to jaana

safar aasan nahin hai paniyon ka
jo talwe aa gai kai to jaana

lahu kya chiz hai izhaar kya hai
ghazal kuchh aur bal khai to jaana

to wo bhi jhuT-chehra ji raha tha
jo us ki aankh bhar aai to jaana

wirasat sari apne nam kar li
magar us ne mujhe bhai to jaana

gharaunde mein bhi ek aatish-kada tha
hamari jaan pe ban aai to jaana

thi 'mohsin' ye bhi jins-e-na-mubarak
hui shohrat ki ruswai to jaana