bin mange mil raha ho to KHwahish fuzul hai
suraj se raushni ki guzarish fuzul hai
kisi ne kaha tha TuTi hui naw mein chalo
dariya ke sath aap ki ranjish fuzul hai
nabud ke suragh ki surat nikaliye
maujud ki numud o numaish fuzul hai
main aap apni maut ki tayyariyon mein hun
mere KHilaf aap ki sazish fuzul hai
ai aasman teri inayat baja magar
faslen paki hui hon to barish fuzul hai
ji chahta hai kah dun zamin o zaman se main
manzil agar nahin hai to gardish fuzul hai
inam-e-nang-o-nam mere kaam ke nahin
majzub hun so meri sataish fuzul hai

Ghazal
Bin mange mil raha ho to KHwahish fuzul hai
Shahid Zaki