bikhere zulf ruKH par kaun ye baala-e-baam aaya 
KHayalon ki faza mahki bahaaron ka payam aaya 
mizaj-e-yar mein jab bhi KHayal-e-intiqam aaya 
sar-e-fihrist apna hi gunahgaron mein nam aaya 
ajab hangama dekha hum ne saqi teri mahfil mein 
koi tishna-dahan uTTha koi chhalka ke jam aaya 
giran-koshi mein afraazi tan-asani mein pamali 
mashaqqat suraKH-ru uTThi tasahul zer-e-dam aaya 
zuhur-e-sair-chashmi hi dalil-e-kaamrani hai 
mera pindar-e-na-asudgi hi mere kaam aaya 
ye misra de diya iqbaal ka kis shoKH-fitrat ne 
samand fikr ke aage 'ziya' mushkil maqam aaya
        Ghazal
Bikhere zulf ruKH par kaun ye baala-e-baam aaya
Bakhtiyar Ziya

