bigDi hui qismat ko badalte nahin dekha
aa jae jo sar par use Talte nahin dekha
kyun log hawa bandhte hain himmat-e-dil ki
hum ne to use gir ke sambhalte nahin dekha
hum jaur bhi sah lenge magar Dar hai to ye hai
zalim ko kabhi phulte-phalte nahin dekha
ahbab ki ye shan-e-harifana salamat
dushman ko bhi yun zahr ugalte nahin dekha
ashkon mein sulagti hui ummid ko dekho
pani se agar ghar koi jalte nahin dekha
har-dam mere dil hi ko jalati rahen aahen
ghar ghair ka lekin kabhi jalte nahin dekha
wo rah sujhate hain hamein hazrat-e-rahbar
jis rah pe un ko kabhi chalte nahin dekha
ulfat mein agar jaan nikal jae to sach hai
dil se magar arman nikalte nahin dekha
kyun chahne walon se KHafa aap hain itne
parwanon se yun shama ko jalte nahin dekha
har ek ilaj-e-dil betab hai be-sud
is ko to kisi taur bahalte nahin dekha
ai 'arsh' gunah bhi hain tere dad ke qabil
tujh ko kaf-e-afsos bhi malte nahin dekha
Ghazal
BigDi hui qismat ko badalte nahin dekha
Arsh Malsiyani