bhulon unhen kaise kaise kaise
wo lamhe jo tere sath guzre
hai rah-numa jibillat un ki
be-his nahin mausami parinde
ai danish-war mafar nahin hai
iqrar-e-wajud-e-kibriya se
jaana koi karsaz bhi hai
TuTe ban ban ke jab irade
mehrab umud burj qausen
ras mein Dube bhare bhare se
bahr-e-kafur mein talatum
bhonra baiTha kanwal ko chuse
chaak-e-ufqi harim-e-zohra
rah rah ke madan tarang jhalke
jhilmil jhilmil badan ka sona
lahraen laTen kamar se niche
kya chand si suraten banain
qurban ai nili chhatri wale
Ghazal
Bhulon unhen kaise kaise kaise
Abdul Aziz Khalid