bhule-bisre mausamon ke darmiyan rahta hun main
ab jahan koi nahin rahta hun main
din Dhale karta hun buDhi haDDiyon se saz-baz
jab talak shab Dhal nahin jati jawan rahta hun main
kya KHabar un ko bhi aata ho kabhi mera KHayal
kin malalon mein hun kaisa hun kahan rahta hun main
jagmagate jagte shahron mein rahta hun malul
soi soi bastiyon mein shadman rahta hun main
bota rahta hun hawa mein gum-shuda naghmon ke bij
wo samajhte hain ki masruf-e-fughan rahta hun main
Ghazal
Bhule-bisre mausamon ke darmiyan rahta hun main
Ahmad Mushtaq