bhule-bisre hue gham yaad bahut karta hai
mere andar koi fariyaad bahut karta hai
roz aata hai jagata hai Daraata hai mujhe
tang mujh ko mera ham-zad bahut karta hai
mujh se kahta hai ki kuchh apni KHabar le baba
dekh tu waqt ko barbaad bahut karta hai
nikli jati hai mere panw ke niche se zamin
aasman bhi sitam ijad bahut karta hai
kuchh to hum sabr o raza bhul gae hain shayad
aur kuchh zulm bhi sayyaad bahut karta hai
us ke jaisa to koi chahne wala hi nahin
kar ke paband jo aazad bahut karta hai
bastiyon mein wo kabhi KHak uDa deta hai
kabhi sahraon ko aabaad bahut karta hai
gham ke rishton ko kabhi toD na dena 'wali'
gham KHayal-e-dil-e-na-shad bahut karta hai
Ghazal
Bhule-bisre hue gham yaad bahut karta hai
Wali Aasi