bhul jate hain taqaddus ke hasin pal kitne
log jazbaat mein ho jate hain pagal kitne
rose KHushbu ke muqaddar mein rahi KHud-sozi
apni hi aag mein jalte rahe sandal kitne
sabz mausam na yahan phir se palaT kar aaya
ho gae zard mere ganw ke pipal kitne
KHud-kushi qatl-e-ana tark-e-tamanna bairag
zindagi tere nazar aane lage hal kitne
barishen hoti hain jis waqt bhari aankhon ki
rakh ho jate hain jalte hue aanchal kitne
har qadam koi darinda koi KHunKHar uqab
shahr ki god mein aabaad hain jangal kitne
be-ruKHi us ki rulaegi lahu kya 'shabnam'
zaKHm khate hi rahe hum to musalsal kitne

Ghazal
Bhul jate hain taqaddus ke hasin pal kitne
Rafia Shabnam Abidi