bhuke jismon ki KHwahishon ke liye
hum mile the zaruraton ke liye
jhank lena bura nahin hota
achchha hota hai khiDkiyon ke liye
chaar hisson mein baT ke rah jaana
kitna mushkil hai aanganon ke liye
meri har nazm laDkiyon pe nisar
mera har sher auraton ke liye
bhig jaana mujhe bhi aata hai
ek elan barishon ke liye
dhobiyon ke liye bahut aadab
taliyan us ke darziyon ke liye
un dukanon mein dastiyab kahan
lipstick aap ke labon ke liye
wo mujhe is tarah zaruri hai
ghanTiyan jaise mandiron ke liye
us ka chehra ghazal ki achchhi kitab
us ki aankhen samundaron ke liye

Ghazal
Bhuke jismon ki KHwahishon ke liye
Waseem Tashif