اردو हिंदी
Bhula diya bhi agar jae sarsari kiya jae | Shaahi Shayari
bhula diya bhi agar jae sarsari kiya jae

Ghazal

Bhula diya bhi agar jae sarsari kiya jae

Hammad Niyazi

;

bhula diya bhi agar jae sarsari kiya jae
mutalea meri wahshat ka lazmi kiya jae

hum aise log jo aainda o guzishta hain
hamare ahd ko maujud se tahi kiya jae

KHabar mili hai ki us KHush-KHabar ki aamad hai
so ehtimam-e-suKHan aaj multawi kiya jae

hamein ab apne nae raste banane hain
jo kaam kal hamein karna hai wo abhi kiya jae

nahin baid ye ahkaam-e-taza jari hon
ki gumbadon se parindon ko ajnabi kiya jae

bas ek lamha tere wasl ka mayassar ho
aur us visal ke lamhe ko daimi kiya jae