اردو हिंदी
BhaTakta karwan hai aur main hun | Shaahi Shayari
bhaTakta karwan hai aur main hun

Ghazal

BhaTakta karwan hai aur main hun

Manish Shukla

;

bhaTakta karwan hai aur main hun
talash-e-raegan hai aur main hun

bataun kya tumhein hasil safar ka
adhuri dastan hai aur main hun

naya kuchh bhi nahin qisse mein mere
wahi bojhal saman hai aur main hun

har ek jaanib tilismati manazir
nazar ka imtihan hai aur main hun

koi shahid nahin sajdon ka mere
jabin par ek nishan hai aur main hun

shikasta baal-o-par takte hain mujh ko
fasil-e-asman hai aur main hun

dua mangun kahan kis dar pe ja ke
dayar-e-be-aman hai aur main hun

bahut dhundli nazar aati hai duniya
umidon ka dhuan hai aur main hun

bhaTakta hun zamin par sar-barahna
falak ka saeban hai aur main hun