bharen na waqt ke hathon jarahaten teri
rakhen sambhaal ke dil ne amanaten teri
chhupa ke tujh se kahan apne roz-o-shab le jaun
jahan-e-nur tera aur zulmaten teri
bichhaD ke tujh se mila umr-bhar ka sannaTa
bana gain mujhe tanha rifaqaten teri
tu hai wo fatah-e-alam ki ek duniya ne
shikast kha ke sarahi hi himmaten teri
tere nuqush-e-qadam se bahaar thi in ki
hain muntazir mere dil ki masafaten teri
kahan hai sham-e-tamanna malahaton ka wo rang
kahan hain subh-e-tasawwur sabahaten teri
dil-e-hazin teri chaukhaT pe umr kaun ganwae
kabhi samajh mein na aain zaruraten teri
azal se shisha-e-gardun mein ret chalti hai
kabhi shumar mein aain na saaten teri
tu meri shirkat-e-hasti kahin qubul to kar
tamam ranj mere sab masarraten teri

Ghazal
Bharen na waqt ke hathon jarahaten teri
Khursheed Rizvi