bhare jahan mein koi raazdar bhi na mila
qarar DhunDne nikle qarar bhi na mila
ye meri soKHta-baKHti nahin to phir kya hai
wo phul lae to mera mazar bhi na mila
na jaane kaisi karamat thi dast-e-saqi mein
ba-qaid-e-hosh koi hoshiyar bhi na mila
chaman chaman mein udasi ka bol-baala hai
bahaar kaisi nishan-e-bahaar bhi na mila
bahut the aish ke lamhon mein jaan-nisar apne
paDa jo waqt koi gham-gusar bhi na mila
main apne ganw mein rah kar bhi ajnabi hi raha
mujhe to apnon se thoDa sa pyar bhi na mila
KHarab hi rahi qismat KHizan-nasibon ki
bahaar aai to lutf-e-bahaar bhi na mila
hansi to apna muqaddar na thi magar 'kausar'
hamein to rone pe kuchh iKHtiyar bhi na mila

Ghazal
Bhare jahan mein koi raazdar bhi na mila
Maher Chand Kausar