اردو हिंदी
Bhare hue hain abhi raushni ki daulat se | Shaahi Shayari
bhare hue hain abhi raushni ki daulat se

Ghazal

Bhare hue hain abhi raushni ki daulat se

Nomaan Shauque

;

bhare hue hain abhi raushni ki daulat se
diye jalaenge hum bhi magar zarurat se

bahut se KHwab haqiqat mein dil-nawaz na the
bahut se log chale aa rahe hain jannat se

usi nigah se phir tum ne mujh ko dekh liya
badan utar kar aaya tha kitni mehnat se

yahi ki tu baDa KHush-haal hai KHudawanda
zara pata nahin chalta jahan ki haalat se

chamakte chand sitaron ko dafn kar aae
bujhe charagh ko rakkha gaya hifazat se

badan ke taq mein jalte hain bas badan ke dip
ye raushni hai bahut kam meri zarurat se

phir is mazaq ko jamhuriyat ka nam diya
hamein Darane lage wo hamari taqat se