bewafa ke wade par eatibar karte hain
wo na aaega phir bhi intizar karte hain
log ab mohabbat mein karobar karte hain
dil bacha ke rakhte hain jaan shikar karte hain
ishraten jahan-bhar ki bas unhin ka hissa hai
jo rawish zamane ki iKHtiyar karte hain
shaKHsiyat mein jhanken to aur hi tamasha hai
baaten jo nasihat ki be-shumar karte hain
apne dam-qadam se to dasht bhi gulistan hai
hum jo KHarzaron ko lala-zar karte hain
jaan se guzarte hain be-KHudi mein ahl-e-dil
wo jo chashm-e-pur-fan ko zulfiqar karte hain
hon shagufe shaKHon ke ya lawen charaghon ki
sab hawa ke daman par inhisar karte hain
hum kahan ke dana hain kis hunar mein yakta hain
log phir bhi jaane kyun hum se pyar karte hain
jis jagah pe KHadsha ho pair ke phisalne ka
hum qadam wahin 'ejaz' ustuwar karte hain
Ghazal
Bewafa ke wade par eatibar karte hain
Ghani Ejaz