betab rahen hijr mein kuchh dil to nahin hum
taDpen jo tujhe dekh ke bismil to nahin hum
hain yaad bahut makr o fareb aise hamein bhi
muTThi mein jo aa jaen teri dil to nahin hum
ab aap koi kaam sikha dijiye hum ko
malum hua ishq ke qabil to nahin hum
kahne ko wafadar tumhein lakh mein kah den
dil se magar is baat ke qail to nahin hum
kyun KHizr ke pairaw hon teri rah-e-talab mein
aawara o gum-karda-e-manzil to nahin hum
kahte hain tamanna-e-shahadat ko wo sun kar
kyun qatl karen aap ko qatil to nahin hum
hain dil mein agar talib-e-didar tumhein kya
kuchh tum se kisi baat ke sail to nahin hum
wo puchhte hain mujh se ye mazmun to naya hai
teri hi tarah se kahin be-dil to nahin hum
hum jate hain ya hazrat-e-dil aap sidhaaren
jaenge ab us bazm mein shamil to nahin hum
in aankhon se hum ne bhi to dekha hai zamana
hum se na kaho ghair pe mail to nahin hum
marne ke liye waqt koi tak rahe hain
is kaam ko samjhe abhi mushkil to nahin hum
kahte hain tujhe dekh ke aata hai hamein rashk
baiThe hue dushman ke muqabil to nahin hum
har sans mein rahta hai teri yaad ka khaTka
'beKHud' hain to hon kaam se ghafil to nahin hum
Ghazal
Betab rahen hijr mein kuchh dil to nahin hum
Bekhud Dehlvi