bekar ye ghussa hai kyun us ki taraf dekho
aaine ki hasti kya tum apni taraf dekho
mahdud hai nazzara jab hain yahi do-alam
ya apni taraf dekho ya meri taraf dekho
milne se nigahon ke kya faeda hota hai
ye baat main samjha dun tum meri taraf dekho
munh pher liya sab ne bimar ko jab dekha
dekha nahin jata wo tum jis ki taraf dekho
manzur 'aziz' us ka irfan jo hai tum ko
dekho na kisi jaanib apni hi taraf dekho
Ghazal
Bekar ye ghussa hai kyun uski taraf dekho
Aziz Lakhnavi