bekar gai aaD tere parda-e-dar ki
allah-re wusat mere aaghosh-e-nazar ki
pi shauq se waiz are kya baat hai Dar ki
dozaKH tere qabze mein hai jannat tere ghar ki
iman ki daulat se tere husn ka sauda
iman ki daulat hai teri ek nazar ki
aa jae tasawwur mein koi hashr-ba-daman
phir meri shab-e-gham ko zarurat hai sahar ki
wo samne hain phir bhi unhen DhunDh raha hun
aaKHir koi had bhi hai hijabaat-e-nazar ki
tanhai-e-furqat mein jo aalam hai idhar ka
hangama-e-mahfil mein wo haalat hai udhar ki
kuchh sahl na pae hain mohabbat ke maraatib
chhani hai bahut KHak teri rah-guzar ki
Ghazal
Bekar gai aaD tere parda-e-dar ki
Shakeel Badayuni