اردو हिंदी
Be-zamiron ke kabhi jhanse mein main aata nahin | Shaahi Shayari
be-zamiron ke kabhi jhanse mein main aata nahin

Ghazal

Be-zamiron ke kabhi jhanse mein main aata nahin

Ibrat Bahraichi

;

be-zamiron ke kabhi jhanse mein main aata nahin
mushkilon ki bhiD se hargiz main ghabraata nahin

mujh se ab apni zaban se kuchh kaha jata nahin
jurm kar ke bhi koi mujrim saza pata nahin

meri KHuddari sada karti hai meri rahbari
main kabhi patthar se apne sar ko Takraata nahin

haq-shanasi mera maslak haq-parasti mera kaam
main khilaunon se kabhi dil apna bahlata nahin

peD jo deta hai saya dhup mein rahta hai wo
raushni deta hai jo wo raushni pata nahin

aadmi ke pas KHud zati masail hain bahut
dusron ke ab masail koi suljhata nahin

aarzuon ke charaghon ko bujha baiTha hun main
koi insan aa ke mere dil ko bahlata nahin