be-wajh nahin gard pareshan pas-e-mahmil
aata hai koi be-sar-o-saman pas-e-mahmil
az-bas kashish-e-ishq se aagah thi laila
thi dekhti wo fitna-e-dauran pas-e-mahmil
kis soKHta ki KHak se uTTha hai bagula
ek shoala-e-jawwala hai pechan pas-e-mahmil
fikr-e-qadam-e-naqa hua qais ko paida
dekha jo hain sahra-e-mughilan pas-e-mahmil
ai naqa-kash itni bhi na tu tez-rawi kar
majnun zi-KHud-o-rafta hai nalan pas-e-mahmil
shayad main use dekhun 'hawas' ba-lab-e-KHandan
jata hun is ummid pe giryan pas-e-mahmil
Ghazal
Be-wajh nahin gard pareshan pas-e-mahmil
Mirza Mohammad Taqi Hawas