be-samjhe-bujhe mohabbat ki ek kafir ne iman liya
ab aaTh aaTh aansu rote hain kyun dil ka kahna man liya
hum fikr mein the chhup kar dekhen un jalwon ne pahchan liya
jab tak ye nazar uTThe uTThe zalim ne parda tan liya
kyun husn-e-garan-maya ye kya tere jalwe itne arzan
ek ek KHuda apna apna jis ne jise chaha man liya
jis par sadqe donon aalam us ashk ki qimat kya kahiye
palkon par apni tol chuke daman mein kisi ke chhan liya
ye koh-e-giran hilte hain kahin aur phir mazbut iradon ke
patthar ki lakir hai ai naseh jo hum ne dil mein Than liya
jalwa ki fareb-e-jalwa tha jo ho taswir mukammal thi
ek shor uTha har jaanib se pahchan liya pahchan liya
mujh se to kisi se bair na tha duniya mere KHun ki pyasi hai
maqtal ki taraf se jo guzra ek hath lahu mein san liya
honTon pe banawaT ki wo hansi fariyaad ka aalam sanson mein
zalim ki mohabbat chhup na saki jis ne dekha pahchan liya
barson uljhe arbab-e-KHirad ye ek girah ab tak na khuli
sar aap hi jhuk gae sajde mein ghabra ke KHuda ko man liya
marna ho 'siraj' ki jina ho be-minnat-e-ghair ho jo kuchh ho
kya rah gai KHanjar-e-qatil ka gardan pe agar ehsan liya
Ghazal
Be-samjhe-bujhe mohabbat ki ek kafir ne iman liya
Siraj Lakhnavi