be-sabab hath kaTari ko lagana kya tha
qatl-e-ushshaq pe beDa ye uThana kya tha
sar pe apne tu na le KHun ab ek aalam ka
funduq-ha-e-nigarin ko dikhana kya tha
sar-bulandi ko yahan dil ne na chaha munim
warna ye KHema-e-aflak purana kya tha
is liye chin-e-jabin mauj rahe hai har dam
ai hubab-e-lab-e-ju aankh churana kya tha
saqiya apni bala se jo ghaTa uTThi hai
de ke ek jura-e-mai dil ko ghaTana kya tha
sarzamin zulf ki jagir mein thi is dil ki
warna ek dam ka phir is mein Thikana kya tha
kah ghazal dusri is bahr mein ek aur 'nasir'
yak qalam likhne se ab hath uThana kya tha
Ghazal
Be-sabab hath kaTari ko lagana kya tha
Shah Naseer