be-niyazi se mudaraat se Dar lagta hai
jaane kya baat hai har baat se Dar lagta hai
saghar-e-baada-e-gul-rang to kuchh dur nahin
nigah-e-pir-e-KHarabaat se Dar lagta hai
dil pe khai hui ek choT ubhar aati hai
tere diwane ko barsat se Dar lagta hai
ai dil afsana-e-aghaz-e-wafa rahne de
mujh ko bite hue lamhat se Dar lagta hai
hath se zabt ka daman na kahin chhuT jae
aap ki pursish-e-haalat se Dar lagta hai
main jo us bazm mein jata nahin 'ashar' mujh ko
apne sahme hue jazbaat se Dar lagta hai
Ghazal
Be-niyazi se mudaraat se Dar lagta hai
Habeeb Ashar Dehlavi