اردو हिंदी
Be-nashsha bahak raha hun kab se | Shaahi Shayari
be-nashsha bahak raha hun kab se

Ghazal

Be-nashsha bahak raha hun kab se

Shohrat Bukhari

;

be-nashsha bahak raha hun kab se
dozaKH hun dahak raha hun kab se

patthar hue kan maut ke bhi
suli pe laTak raha hun kab se

jhaDti nahin gard aagahi ki
daman ko jhaTak raha hun kab se

lahore ke khanDaron mein yarab
bulbul sa chahak raha hun kab se

raushan na huin ghazal ki shamen
shoala sa bhaDak raha hun kab se

tarik hain raste wafa ke
suraj sa chamak raha hun kab se

TuTa na fasurdagi ka jadu
ghuncha sa chaTak raha hun kab se

jalta nahin be-kasi ka KHirman
bijli sa lapak raha hun kab se

is hirs-o-hawa ki tirgi mein
sona sa damak raha hun kab se

sunsan hai wadi-e-takallum
baadal sa kaDak raha hun kab se

basti koi ho to mil bhi jae
sahra mein bhaTak raha hun kab se

gulchin koi ho to qadr jaane
jangal mein mahak raha hun kab se

han ai gham-e-ishq mujh ko pahchan
dil ban ke dhaDak raha hun kab se

paimana-e-umr ki tarah se
har lamha chhalak raha hun kab se

malum ye ab hua ki 'shohrat'
diwana hun bak raha hun kab se