be-dili wo hai ki marne ki tamanna bhi nahin 
aur ji len kisi ummid pe aisa bhi nahin 
na koi sar ko hai sauda na koi sang se lag 
koi puchhe to kuchh aisa gham-e-duniya bhi nahin 
waqt wo hai ki jabin le ke karo dar ki talash 
ajab aashufta-sari hai ki tamasha bhi nahin 
apne aaine mein KHud apni hi surat hui masKH 
magar is TuTe hue dil ka mudawa bhi nahin 
hu ka aalam hai koi nara-e-mastana-e-haq 
kya teri bazm-e-wafa mein koi itna bhi nahin 
lafz-o-mani mein nahin rabt magar hae umid 
is pe baiThe hain ki wo Talne wala bhi nahin 
be-KHudi hae tamanna ki na thi fursat-e-wahm 
be-kasi hae tamasha ki koi tha bhi nahin 
phul ban kar jo mahakta tha kabhi dil ke qarib 
KHar ban kar kabhi pahlu mein khaTakta bhi nahin 
tum bhi kahlate ho daman-kash-e-duniya 'baqar' 
sach to ye hai tumhein jine ka saliqa bhi nahin
        Ghazal
Be-dili wo hai ki marne ki tamanna bhi nahin
Sajjad Baqar Rizvi

