be-dili se hansne ko KHush-dili na samjha jae
gham se jalte chehron ko raushni na samjha jae
gah gah wahshat mein ghar ki samt jata hun
is ko dasht-e-hairat se wapsi na samjha jae
lakh KHush-guman duniya bahami talluq ko
dosti kahen lekin dosti na samjha jae
hum to bas ye kahte hain rose jine marne ko
aap chahen kuchh samjhen zindagi na samjha jae
KHak karne walon ki kya ajib KHwahish thi
KHak hone walon ko KHak bhi na samjha jae
Ghazal
Be-dili se hansne ko KHush-dili na samjha jae
Pirzada Qasim