be-chehragi-e-gham se pareshan khaDe hain
hum phir bhi wo zalim hain ki jine par aDe hain
gham se jo buland aur masarrat se baDe hain
aise bhi kai dagh mere dil pe paDe hain
tariKH ke safhon pe jo insan baDe hain
un mein bahut aise hain jo lashon pe khaDe hain
kya kya na hamein ghar ki udasi se gila tha
ab shahr se nikle hain to hairan khaDe hain
aai na shikan meri jabin par rah-e-gham mein
kuchh aable paDne the so talwon mein paDe hain
yaadon ke ghane shahr mein kyunkar koi nikle
har fard ke pichhe kai afrad khaDe hain
rona to ye hai halqa-e-zanjir ki surat
haalat ke pairon mein hamin log paDe hain
suraj jo chaDhega to simaT jaenge ye log
sae ki tarah qad se jo do hath baDe hain
hum par jo guzarti hai use kis ko bataen
tanhai ki aaghosh mein sadiyon se paDe hain
haalat ke pathraw se bach niklen to jaano
shishe ki tarah hum bhi framon mein jaDe hain
is daur-e-KHirad ka ye alamiyya hai ki insan
aap apni hi lashen liye kandhon pe khaDe hain
sadiyan hain ki guzri hi chali jati hain 'nazish'
hain roz-o-mah-o-sal ki chup-chap khaDe hain
Ghazal
Be-chehragi-e-gham se pareshan khaDe hain
Nazish Partap Gadhi