be-aman hun in dinon main dar-ba-dar phirta hun main
main mawaddat hun wafa hun KHair ka jazba hun main
dil ki maujon mein bapa kar ke talatum-KHezyan
apne andar ki zaminen kaTta rahta hun main
khel hai sarkash hawaon ke liye mera wajud
kam-tanabi jis ki qismat hai wo ek KHema hun main
hai mukammal waqt ke suraj pe mera inhisar
zindagi ke panw se lipTa hua saya hun main
aisi hi be-chehragi chhai hui hai shahr mein
aap-apna aks hun main aap aaina hun main
kab milegi mujh ko 'sarim' is aziyyat se najat
zehn-o-dil ki kashmakash mein raat din uljha hun main
Ghazal
Be-aman hun in dinon main dar-ba-dar phirta hun main
Arshad Jamal u0027Sarimu0027