bazm sanwarun ghazlen gaun
jine ke andaz banaun
har dam ro ro KHun ke aansu
kyun aankhon ki aab ganwaun
kab tak dal ke bahkane par
tare gin gin raat bitaun
in ko mera dhyan nahin hai
main kyun apni jaan ganwaun
mera gham kis ne khaya hai
main kyun duniya ka gham khaun
sab se tark-e-talluq kar lun
KHud se rasm-o-rah baDhaun
marne walon ko marne dun
jine walon ko apnaun
har mayyat ke sirhane 'shohrat'
naghme chheDun jashn manaun
Ghazal
Bazm sanwarun ghazlen gaun
Shohrat Bukhari