bazm mein wo sarfaraazi ki alamat le gae
jab gae to sath mera qadd-o-qamat le gae
ye ghanimat hai ki us ku-e-dil-azari se hum
barish-e-sang-e-sitam mein sar salamat le gae
pesh karne ko na tha kuchh bhi tahi-daston ke pas
shahr-e-be-tauqir se zad-e-nadamat le gae
koi bhi aasar jis ke apne chehre par na the
hum chhupa kar dhaDkanon mein wo qayamat le gae
saya-e-amn-o-aman mein aashna sote rahe
hum tan-e-tanha ye ambar-e-malamat le gae
anjuman mein us ki 'mohsin' chand baune jama the
tum wahan kis zoam mein ye qadd-o-qamat le gae
Ghazal
Bazm mein wo sarfaraazi ki alamat le gae
Mohsin Ehsan