bazm-e-insan mein bhi ek raat basar kar dekho
ek bar apni zamin par bhi utar kar dekho
is ufuq par na agar jannat-e-mauuda mili
is ufuq tak bhi jo chaho to safar kar dekho
koi Dubi hui kashti hai ki sahil ka nishan
apni sochon ke samundar se ubhar kar dekho
KHud ko dekho mere mear ke aaine mein
ek zara mujh pe ye ehsan bhi dhar kar dekho
mausam-e-gul hai to kirdar-e-chaman kyun badle
aag phulon ko to shabnam ko sharar kar dekho
har zamane mein bujhe to nahin rahte KHurshed
gardisho aaj meri shab ko sahar kar dekho
Ghazal
Bazm-e-insan mein bhi ek raat basar kar dekho
Ahmad Nadeem Qasmi