bayan-e-shauq ko mafhum se juda na kare
sada wahi hai jo lafzon ko be-sada na kare
kiran kiran ne sambhal kar ye hum ko dars diya
misal-e-ashk koi aankh se gira na kare
hawa ke jhonkon se KHushbu ke parde hilte hain
harim-e-lala-o-gul mein koi chhupa na kare
hamari aankhen shab-o-roz jaise jalti hain
koi charagh jale bhi to yun jala na kare
hamein charagh bhi hain aur hamein hawa bhi hain
hamari zist pe ab koi tabsira na kare
baDhegi aur bhi kuchh faslon ki tanhai
jo tez-gam hai wo rah mein ruka na kare
tere KHayal teri yaad mein jo guzra hai
kabhi wo lamha kisi ja pe aashiyana kare
sada-e-gham se larazti hai zindagi 'mutrib'
lachakti shaKH se bhi phul ab gira na kare

Ghazal
Bayan-e-shauq ko mafhum se juda na kare
Mutrib Nizami