bayaban ho ki sahra ho mujhe tera sahaara ho
tu hi KHurshid ho mera tu hi mera sitara ho
bulandi ho ki pasti ho kahin baiThun kahin jaun
wahin par mera kaba ho wahin tera nazara ho
na ye duniya na wo uqba meri to ek tamanna hai
rahun qadmon tale tere tu hi mera kinara ho
raho pardon mein tum maKHfi magar jab dil mein jhankun main
tumhaara hi nazara ho tumhaara hi nazara ho
meri aankhon mein bas jao zara mujh par taras khao
zaminon aasmanon mein tumhin ek mah-para ho

Ghazal
Bayaban ho ki sahra ho mujhe tera sahaara ho
Razia Halim Jang