basti se chand roz kinara karunga main 
wahshat ko ja ke dasht mein mara karunga main 
waise to ye zamin mere kaam ki nahin 
lekin ab is ke sath guzara karunga main 
shayad ki is se murda samundar mein jaan aae 
sahra mein kashtiyon ko utara karunga main 
manzar ka rang rang nigahon mein aaega 
ek aise zawiye se nazara karunga main 
ai mehrban ajal mujhe kuchh waqt chahiye 
jab ji bhara to tum ko ishaara karunga main
        Ghazal
Basti se chand roz kinara karunga main
Ahmad Khayal

