basti mein hai wo sannaTa jangal mat lage
sham Dhale bhi ghar pahunchun to aadhi raat lage
muTThi band kiye baiTha hun koi dekh na le
chand pakaDne ghar se nikla jugnu hat lage
tum se bichhDe dil ko ujDe barson bit gae
aankhon ka ye haal hai ab tak kal ki baat lage
tum ne itne tir chalae sab KHamosh rahe
hum taDpe to duniya bhar ke ilzamat lage
KHat mein dil ki baaten likhna achchhi baat nahin
ghar mein itne log hain jaane kis ke hat lage
sawan ek mahine 'qaisar' aansu jiwan bhar
in aankhon ke aage baadal be-auqat lage
Ghazal
Basti mein hai wo sannaTa jangal mat lage
Qaisar-ul-Jafri