basit-e-dasht ki hurmat ko baam-o-dar de de
mere KHudaya mujhe bhi to ek ghar de de
bashaaraton ke sahife utar aankhon par
tilsim-e-shab ke kalas toD kar sahar de de
main tera nam likhunga rida-e-kaba par
qalam nasib hai, alfaz mo'tabar de de
ruke hue hain khule paniyon pe barson se
hawaen khol de aur taqat-e-safar de de
har ek shaKHs ki patthar uThae phirta hai
ek aaina hi mere shahar ko agar de de
bikhar gaya hun bichhaD ke KHalaon mein 'ashraf'
ab aae, wo mujhe mujh ko sameT kar de de
Ghazal
Basit-e-dasht ki hurmat ko baam-o-dar de de
Ashraf Javed